Yesterday I
cried a silent tear for fear of losing you
Today I cried a
silent tear because you left my heart behind
Tomorrow I'll
cry a silent tear because I'll be getting over you...
*****************
Every new beginning
comes from some beginnings end.
Every time u kill me
I am born again.
Every time u close that door
Another door is opened.
And every time u say goodbye
a different word is spoken.
*****************
Jis tarh ranj me,ankhun me nami ka hona
aisa hota hai mohbt me kisi ka hona
tera sooraj k qabeley se ta'aluq to nhe?
yeh kahan se tujhy aya sabhi ka hona.
*****************
Meri Ankhoon Kay Samandar main Jalan Kaysi Ha
Ajj Phir Dil Ko Tarapnay Ki LaGan Kaysi Ha
Ab Kisi Chaat Pay Chiragon Ki Qatarin Bhi Nahi
Ab Teray Shehar Ki Galioyon Main Guthan Kaysi Ha.
*****************
Muhabbat muqaddar hai aik khwab nahi
yeh wo rishta hai jis mai sab kamyab nahi
jinhe saath mla unhe unglion per gin lo
jinhe milli judai unka koi hisab nahi.
*****************
Chahoo jo meri khataoon ki saza do mujh ko
per khata kya ha zara itna bata do mujh ko
meiney chaha tha sanam tum ko tu aakhir kyun kar
in wafaoon ky siley aisi wafa do mujh ko
*****************
ab ke socha ha ke khud ko yeh saza di jaye
tujh say wabasta har ik baat bhula di jaye
ab talak ji liya, itna bhi ghaneemat ha bohat
mujh ko jeenay ki na ab aur dua di jaye!
*****************
JAANA dil ka shehar nagar afsoos ka ha
tera mera sarah safar afsoos ka ha
Kis chahat sey shehar-e-tammana manga tha
Ab hathoon mein sagar Afsoos ka ha..
*****************
Apni beeti hoi rangin jawani de ga,
Mujh ko tasveer b de ga tou purani de ga,
Aadaten milti hyn soraj se bohat kuch us ki,
Waqt-e-rukhsat b wo ek shaam suhani de ga,
Me ne yeh soch k boay nahi khawabon k darakht,
Kon janghal me lage pair ko pani de ga...
*****************
ranj ki jab guftagu hone lagi
ap sa tum tum sa tu hone lagi
chahiye paigamabar dono taraf
lutf kya jab du-ba-du hone lagi
*****************
har bar mangti ha naya chashm-e-yar dil
ik dil k kis tarah se banaun hazar dil
pucha jo us na talib-e-roz-e-jaza ha kaun
nikla meri zaban se be-ikhtiyar dil
*****************
ZEHAN ME TERI YAADON K SIWA KUCH BI NAHI
DIL ME GUZRI BAATON KI SIWA KUCH BI NAHI
TU JAHAN BI RAHE SADA KHUSH RAHE
MERE LUB PER DUAON K SIWA KUCH BI NAHI
*****************
Takseem-i-Muhabat My be kuch gum he mily
Phir b shikayat hai ka siley kum he mily
Ae Zindgi ek baat bta zra hum ko.
Kya dil dukhane ke lye Tujhe hum he mily.
*****************
Anjane may hum apna dil ganwa baithay
is pyar may kaysa dhoka kr baithay
unsay kya gila kre bhul hamari he hy
jo bin dilwaloo say dil lga baithay
*****************
Meri chahat main khot to ni shamil
Phr kun wo bar bar azamaye mujhe?
Dil us ke yaad say ik pal b ni gaffil,
Phir kaisy mumkin hy wo bhool jiye mujy?
*****************
Dard bhara is jeevan ka afsaana hy
Jis ko apna jaana vo he beygana hy
kis ko jaa kr zakhm yh apna dikhaeye
acha hy chup chap yh aansu pee jaieye
*****************
Her Subah Nikal Partaa Hy Jo Khud Kee Talaash Mein.
Voh Khoyee Huee See Ek Pahchan Hoon Mein.
Naa Ankhon Me Khawaab Heyn Na Dil Mein Tammannaa Koee.
Apnee Banayee Huee Raahon Sey Hee Anjaan Hon Mein.
*****************
ankhoon main rehne waloon ko yad nahi karte
dil main rehne waloon ki baat nahi karte
humari to rooh main bass ghye ho aap
tabhi to aap se milne ki fariyad nahi karte
*****************
Paas a ker sub hee door chalay jatay hein,
Akaylay thay hum akaylay reh hee jatay hain
Iss dil kas dard dikhayen kisay
Marham laganay walay hi zakm day jatay hein
*****************
Woh hamaree Bay basee kaa Mazaak banatay gaye..
Ik Hum hee thay jo pher bhi Muskuratay gaye..
Sur-e-Bazaar bik rahaa thaa PIYAR hamaraa..
Aur ik woh thay jo hamaree Qeemat giratay gaye..
*****************
Zindagee Kee Hasseen Rahon Per
Apnaa Daaman Sadaa Bachayaa Hei
Her Qadam Phoonk Phoonk Ker Rakhaa
Her Qadam Per Faraib Khayaa Hei
*****************
Unkee galiyon say jub guzray tou manzar ajeeb thaa,
Dard thaa magar woh dil kay kareeb thaa,
Jisay hum dhoond tay thay apnay haathon kee lakiroon main
Wo kisee doosray kee kismat, kisee aur ka naseeb thaa.
*****************